Thursday, March 16, 2006

Jakhm

Gehri dosti thi tumse aur vada tha nibhane ka dosti ka farz
Tumhare saath bitaye hue yaadein lagne lage hain mujhe jaise koi karz.

Mujhe yaad hain un dinon ki jab hum haste the bejhijak
kisi bhi barein mein baat kar sakte the aur tumhein pyari lagti thi meri pagli si bakbak.

Pal pal betein jab jab hum tum ek dusre par chillaye
Dukh is baat ka hain ki na tum, na main iske peeche ke dard ko samajh paye.

Jamaana tha jab ek boond aason ki ankhon main mere tum na dekh paate
Aur ab mere ankhon se har ek boond tumhari vajah se hain aate.

Kuch palon main kho diya tumehin mere dost
Par nahi lagta mujhe ki mujhmein hi thi sari khot.

Tumhari kisi khushi main hum shamil na ho paye
Jamane ne humpar lagaya iljaam jo tumne bin soche maane.

Koshish ki maine bahut, par purana pal vapas nahi laut aaya
Tumhare naye jindagi main na thi main na tha mera saaya.

Sach kethi hoon dosti ke naam se ab logon ke saath miljul kar nahi hain rehnaa
Man ke kone main darr hain, dost firse chala jaye iska gum pade humein fir ek baar sehnaa

Itni nahi hoon main kathor ke tumhein bhool paungi
Tumhari dosti ko kho baithi isi gum main mar jaungi.

Saare pal sukh dukh ke mujhe humesha rahenge yaad
Ho sake to is dost ka na bhoolna yahi karungi fariyaad.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home